1. Tauheed kya hai ?
Ans : Tauheed ka matlab hai “Ek” janna aur “Ek” kahna
2. Tauheed ki ahmiyat
Tauheed wala jannat me jaega aur shirk karne wala sidha jahanum me
Abdullah-Bin-Masood{Radi-Allahu ‘anhu} se rivayat hai Rasoolallah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ne farmaya: jo shakhs mar(death) jaye aur Allah ke sath kisi ko Shareek karta ho to wo Jahannam me jayega, Abdullah-Bin-Masood{Radi-Allahu anhu} ne kaha main kahta hu jo Shakhs mar(death) jaye aur Allah ke sath kisi ko Shareek na karta ho wo Jannat me jayega,
{ Sahih-Muslim, Vol-no: 1, Book: 2(Kitab-ul-Emaan), Hadees-no: 268 }
{ Sahih-Muslim, Vol-no: 1, Book: 2(Kitab-ul-Emaan), Hadees-no: 268 }
3.Tauheed ki 3 qisme hain
(A) Tauheed-Rububiyah
(B) Tauheed al-Ibadah
(C) Tauheed-al-Asmaa was-Sifaat
(B) Tauheed al-Ibadah
(C) Tauheed-al-Asmaa was-Sifaat
(A) Tauheed-Rububiyah ka matlab hai ke is kayenaat ka Khaliq,Maalik,Razzaq aur Mudabbir sirf Allah-Taala hai.
Allah ek hi hai uske elawa koi Ibadat(puja) ke layeq nahi, sab iske Muhtaaj hain wo kisi ka Muhtaaj nahi, Na us se koi chiz nikli hai na wo kisi se nikla, Iski zaat me na iski Shifaat me aur na iski Afaal me koi iska Shareek nahi,
Aap kah dijiye ke wo Allah-Taala ek hi hai, Allah-Taala beniyaaz hai, Na us se koi paida hua na wo kisi se paida hua, Aur na koi iska hamsar hai.{ Al-Quraan, Surah-No-112, Surah-Tul-Ikhlaas }
Wahi pahle hai aur wahi Aakhir, wahi zaahir hai aur wahi poshidah aur wo har chiz ko bakhobi janne wala hai.{ Al-Quraan, Surah-No-57, Surah-Al-Hadeed, Aayat-No : 3 }
Makkah ke Mushrik bhi is Tauheed ko Mante the jaise ki Quran me ata hai
Agar Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}! inse (Mushriko) puche ke Aasmaan-wa-Zameen ka Khaliq kaun hai? to yaqinan yahi kahenge ki Allah. {Surah-Tul-Zamar, Aayat-No :38}
(B) Tauheed al-Ibadah ka matlab hai ke Ibaadat ki tamaam iqsaam ka mustahaq sirf Allah-Taalahai.Jaise ki Namaz , zakat hajj sirf Allah k liye hota hai wese har ibadat sirf Allah ke liye honi chaiye. Aaj kuch log Tawaf,Mannat,Dua ye sab Allah ke alawa dusre logo ke liye karte hai jab ki Hume Allah ke alawa Ibadat kisi aur se nahi karni chaiye
Allah ne quran me farmaya
Kah dijiye ke meri Namaaz aur meri Qurbani aur meri Zindagi aur meri Maut Allah hi ke liye hai jo tamaam jahano ka palne wala hai, Jis ka koi Shareek nahi’ mujhe ussi Tauheed ka hukum farmaya gaya hai aur main sab farmabardaron me Auwal (pahla) hu,
{ Al-Quraan, Surah-No- 6, Surah-Tul-Aanaam, Aayat-No : 162,163 }
{ Al-Quraan, Surah-No- 6, Surah-Tul-Aanaam, Aayat-No : 162,163 }
Hazrat-Annas {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai ke Sahaba-Ikraam {Radi Allahu ‘Anhu} ke liye Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} se badh kar koi shakhs Mahboob nahi tha lekin iske bawajood wo log Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ko dekh kar khade nahi hote the kyon ke wo jante the ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} isse pasand nahi karte,
{ Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitaab-ul-Aadab), Hadees-no: 654 }
{ Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitaab-ul-Aadab), Hadees-no: 654 }
* Ruku aur Sajdah Sirf Allah-Taala Hi Ke Liye makhsoos Hai
Din raat aur suraj chand bhi (ussi ki) nishaniyon me se hain, Tum suraj ko Sajdah na karo na Chand ko balke Sajdah ussi Allah ke liye karo jisne in sab ko paidah kiya hai, Agar tum ussi ki Ibadat karte ho to,
{ Al-Quraan, Surah-No- 41, Surah-Ha-Meem-Sajdah, Aayat-No : 37 }
{ Al-Quraan, Surah-No- 41, Surah-Ha-Meem-Sajdah, Aayat-No : 37 }
Hazrat-Qaees-bin-sayeed {Radi Allahu ‘Anhu} riwayat hai ke main Herah me aaya( Herah kufa ke qareeb ek jagha ka naam hai) to maine dekha ke yaha ke log apne sardar ko (tazeem ke taur par) Sajdah karte hain, maine apne dil me kaha ke inke muqable me to Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} is baat ke jiyada haqdar hain ke Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ko (tazeem ke taur par) Sajdah kiya jaye, phir jab main Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke pass aaya to maine kaha, main Herah gaya tha aur maine waha ke logon ko dekha ke wo apne sardar ko Sajdah karte hain aur Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} inke muqable me is baat ke jiyadah haqdar hain ke hum Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ko Sajdah kare, Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne pucha bhala kya tu jab meri Qabar par aayega to kya Sajdah karega? maine kaha “nahi” to Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya: to zindagi me bhi kisi ko Sajdah na karo, Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne mazeed farmaya: agar main kisi ko sajdah karne ka hukum deta to Aurton ko hukum deta ke wo apne Shoharon (Husband) ko sajdah kare is haq ke badle me jo Allah-Taala ne mardon ke liye muqarar kiya hai,
{ Sunan-Abu-Dawood, Vol-no: 2, Book: 2(Kitab-ul-Nikah), Hadees-no: 373 }
* Tawaaf sirf Allah ke liye hona chaiye
Humne Ibrahim {Aalaih-islaam} aur Ismail {Aalaih-islaam} se wadah liya ke tum mere ghar ko Tawaaf karne walon aur Aitekaaf karne walon aur Ruku Sijood karne walon ke liye paak saaf rakho,
{ Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Tul-Baqra, Aayat-No : 125 }
Abu-Huraira {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Qayamat na qayam hogi yahan tak ki Qibla-e-Doos ki Auraton (womens) ke sareen hilenge Zil-khalsah ke gird [ yani wo Tawaaf karengi iska ] Zawaalkhalsah ek Boot tha jisko Qibla-e-Doos jahiliyat ke zamane me puja karte the.
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 8, Book: 93(Kitab-ul-Fitan), Hadees-no: 7116 }
{ Sahih-Muslim, Vol-no: 6, Book: (Kitab-ul-Fitan), Hadees-no: 7298 }
Tasrih:- Arab me ek qaoom thi jisko Qibla-e-Doos kaha jata tha, Jahiliyat me iska ek Boot tha jisko Zawaalkhalsah kaha jata tha, Ahhad-e-Risalat me isko tood diya gaya tha, Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne peshangoi ki ke qayamat ke qareeb log is Boot ko phir manne lagenge aur Qibla-e-Doos ki Auratein (womens) iska phir Tawaaf karengi, Maloom hua ke Khana-e-Kaba ke siwa aur kisi Qabar, jhande, Boot, Murti, Darkht ka Tawaaf karna Jayaz nahi
* Qurbani Sirf Allah-Taala Hi Ke Naam Ki Deni Chahiye
Aur aise Janwaron [Animals] me se mat khao jin par Allah ka Naam na liya gaya ho aur ye kaam nafarmani ka hai aur yaqinan Shayateen apne doston ke dil me dalte hain ke ye tum se jadaal kare aur agar tum in logon ki Etaat karne lago to yaqinan tum Musrik ho jaoge.
{ Al-Quraan, Surah-No- 06, Surah-Tul-Anaam, Aayat-No : 121 }
Hazrat-Ali {Radi Allahu ‘Anhu} kahte hain ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya: Laanat kare Allah us par jo laanat kare apne Maa-Baap par, Aur Laanat Kare Allah Us Par Jo Zabha Kare Allah Ke Siwa Kisi Aur Ke Liye, aur Laanat kare Allah us par jo jagha de de kisi Bidatti ko, aur Laanat kare Allah us par jo zameen ke nishaan ko badle.
{ Sahih-Muslim, Vol-no: 5, Book: (Qurbani Ka Biyaan), Hadees-no: 5124 }
* Dua Ibaadat Hai, Dua Sirf Allah-Taala Se Hi Mangni Chahiye }
[Aye Nabi sallallaahu Alaihe Wasallam!] jab mere bande mere bare me sawaal kare to aap kah dijiye ke main bahut qareeb hu, har pokarne wale ki pokaar ko jab kabhi wo mujhe pokare’ qabool karta hu, isliye logon ko bhi chahiye ke wo meri baat maan liya kare aur mujhe par Emaan rakhe’ yahi inki bhalai ka zarya hai.
{ Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Tul-Baqra, Aayat-No : 186 }
{ Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Tul-Baqra, Aayat-No : 186 }
Hazrat-Noumaan-Bin-Bashir {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Dua hi to ibaadat hai, phir apne “Surah-Tul-Momin” ki “Aayat-no–60″ padhi, Tumhare Parwardigar ne Farmaya Mujhe Pukaro Main Tumhari Dua Qabool Karunga , Aur Jo Log Meri Ibaadat Se Takabbur Karte Hain Woh Zaleel-O-Khuwar Hokar Jahannum Main Dakhil Honge.
{Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitab-ul-Dua), Hadees-no: 1297}\
{Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitab-ul-Dua), Hadees-no: 1297}\
Upar saari daleelo se pata chalta hai ki Sajda,Tawaf,Mannat sab Allah ke liye Honi chaiye kisi aur ke liye nahi
(C) Tauheed-al-Asmaa was-Sifaat ka matlab hai Allah ki bahot sari hai Sifaat jaise ki Ar Rahman unke naamo me ek naam hai jiska matlab hota hai Rahem karne wala , wese Ar Razzaq (Rizq dene wala) aba agar kisi shaks ne ye maan liya ki Rizq Allah ke alawa bhi koi aur deta aur use Apne Razzaq samaj liya to Usne shirk kiya.
* Kayenaat Ki Har Chiz Ka Haqiqi Maalik Aur Badshah Sirf Allah-Taala Hi Hai
wahi Allah hai jis ke siwa koi ibaadat ke layeq nahi, badshah-e-Haqeeqi, har aaib se paak, salamti dene wala, aman dene wala, nigahbaan galib zabardast badai wala, Allah Mushriko ke Shirk se paak hai.
{ Al-Quraan, Surah-No- 59, Surah-Tul-Hashr, Aayat-No : 23 }
{ Al-Quraan, Surah-No- 59, Surah-Tul-Hashr, Aayat-No : 23 }
* Kayenaat Mein Hukumat Aur Hukum Dene Ke Tamaam Ikhtiyaraat Sirf Allah Hi Ke Pass Hai }
Hukum dena sirf Allah hi ka haq hai, iska farmaan hai ke tum sab iske siwa kisi aur ki ibaadat na karo, yahi Deen durost hai lekin Aksar log nahi jante,
{ Al-Quraan, Surah-No- 12, Surah-Tul-Yousuf, Aayat-No : 40 }
{ Al-Quraan, Surah-No- 12, Surah-Tul-Yousuf, Aayat-No : 40 }
* { Qayamat Ke Roz Shifarish Karne Ki Ejazat Dene Ya Na Dene, Shifarish Qabool Karne Ya Na Karne Ka Ikhtiyaar Sirf Allah-Taala Hi Ko Hoga }
Kya in logon ne Allah-Taala ke siwa auron ko Shifarish karne wala muqarar kar rakha hai, to kah de ke kya us sorat mein bhi jab ke wo kisi chiz ke malik nahi aur na hi koi Aaqal rakhte hain? kah de ke tamaam Shifarish ka mukhtaar Allah-Taala hi hai (jise chahe shifarish ki ejazat de jise chahe na de, jiski shifarish chahe qabool kare jiski chahe qabool na kare) Aasmaan aur zameen ki Badshahat ussi ki hai, phir ussi ki taraf tum sab (marne ke baad) lautaye jaoge.
{ Al-Quraan, Surah-No- 39, Surah-Al-Zumar, Aayat-No : 43,44}
{ Al-Quraan, Surah-No- 39, Surah-Al-Zumar, Aayat-No : 43,44}
Kaun hai jo iski janaab me iski ejazat ke begair sifarish kar sake,
{Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Al-Baqrah, Aayat-No : 255 }
{Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Al-Baqrah, Aayat-No : 255 }
Aur wo apne Hukumat me kisi ko shareek nahi karta.
{ Al-Quraan, Surah-No- 18, Surah-Al-Khaf, Aayat-No : 26 }
{ Al-Quraan, Surah-No- 18, Surah-Al-Khaf, Aayat-No : 26 }
Aur Allah jaisa chahta hai hukum karta hai koi iske hukum ko rad karne wala nahi.
{Al-Quraan, Surah-No- 13, Surah-Al-Ra’d, Aayat-No : 41 }
{Al-Quraan, Surah-No- 13, Surah-Al-Ra’d, Aayat-No : 41 }
{ Alimul ghaib Sirf Allah hai (The Knowledge Of Unseen)}
Kah dijiye ke Asmaano walon me se Zameen walon me se siwaye Allah ke koi Ghaib nahi janta inhe to ye bhi nahi maloom ke kab utha khada kiye jayenge?
{ Al-Quraan, Surah-No- 27, Surah–Al-Namal, Aayat-No : 65}
Ae nabi ! kah dijiye: main tumse nahi kahta ke mere pass Allah ke khazane hain, aur na main Ghaib janta hu aur na main tumse ye khata hu ke main Farishta hu, main to issi chiz ki pairwe karta hu jo meri taraf Wahee ki jati hai, kah dijiye kya bina aur nabina(blind & blindless) barabar ho sakte hain phir kya tum gaur nahi karte?
{ Al-Quraan, Surah-No- 06, Surah–Al-Anaam, Aayat-No : 50}
{ Al-Quraan, Surah-No- 06, Surah–Al-Anaam, Aayat-No : 50}
Aisha {Radi Allahu ‘Anha} ne bayan kiya ke agar tum se koi ye kehta hai Mohammed {sallallaahu Alaihe Wasallam} Elim-e-gaib (Knowledge Of Unseen) jante the to galat kehta hai (jhoota hai) kyon ki Allah-Taala khud kehta hai ke Gaib ka ilm Allah ke siva aur kisi ko nahin.
{ Sahih-Bukhari, Vol No:- 08, Book: 98 (Kitaab-ul-Tauheed) Hadees No:- 7380 }
{ Sahih-Bukhari, Vol No:- 06, Book: 65 (Kitaab-ul-Tafseer) Hadees No:- 4855 }
{ Sahih-Bukhari, Vol No:- 06, Book: 65 (Kitaab-ul-Tafseer) Hadees No:- 4855 }
Hazrat-Abu-Huraira {Radi Allahu ‘Anhu} se riwayat hai ke ek din Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} logon me tasreef farmaye hue the, ke apke pass ek shakhs aaya isne pucha Qayamat kab aaye gi? Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya: ke iske bare me jawab dene wala puchne wale se kuch ziyada nahi janta.
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 01, Book: 02(Kitaab-ul-Emaan), Hadees-no: 50 }
Kuch Muslim bhaiyo ne allah ki sifat Nabi ya Walio ko di hui hai jaise ki Elm e Ghaib (Ghaib ki saara Ilm wala), Garib Nawaz (Garib ko nawazne wala) ek insan se agar pocha jaye ki ye sab kisiki sifat honi chaiye to kahenge ALLAH ki par afsos kam ilmi ki waje se ye shirk hum kar jate hai,
Allah se dua hi ki hume tauheed par hamesha kayan rakhe aur humari zindagi aur maut Tauheed par ho Ameen.
0 comments:
Post a Comment