HIQAYAT:-
'''''''''''''''''
Hazrat Imaam Hambal Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ek Bar Ek Naher Ke Kinare Wazu Ker Rahe The! Koi Dusra Shaks Aapse Uper Ki Janib Bulandi Per Wazu Ker Raha Tha! Usne Jab Hazrat Imaam Hambal Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ko Wazu Karte Dekha To Wahan Se Uthker Tazeem Ke Lihaaz Se Niche Uter Aaya Aur Aapse Niche Uterker Wazu Karne Laga! Jab Wo Shaks Margaya To Kisine Use Khwab May Dekha Aur Pucha Ki Khuda-Ta'aala Ne Tere Sath Kya Sulook Kiya? To Usne Jawab Diya Ki Haq-Ta'aala Ne Us Tazeem Ke Sile May Jo Maine Hazrat Imaam Hambal Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ke Wazu Karte Waqt Unki Tazeem Ki Thi, Mujhper Rehmat Farmayi Hain Aur Meri Najaat Farma Di!
(Tazkiratul-Auliya, Pg-262)
*********************************
SABAK:-
'''''''''''''
ALLAH Walon Ki Tazeem Se ALLAH-TA'AALA Khush Hota Hain, Lihaza Un ALLAH Walon Ki Be-Adbi Wa Gustakhi Se Har Waqt Darte Rehna Chahiye Aur Hamesha Unka Adab Karna Chahiye!
*********************************
0 comments:
Post a Comment