background img

The New Stuff

Hazrat Usmaan Ghani radi-Allahu ta’ala anhu


Hazrat Usmaan Ghani radi-Allahu ta’ala anhu :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Ghani, Zun-Noorain, Sayyed-ul-Askhiya.
***********
Aap ki wilaadat 579 A.D. me (Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ki wilaadat ke 6 saal pehle) Taaif me hui.
Aap ke waalid ka naam Affan ibn Abul Aas aur waalida ka naam Urwa bint Kariz hai.
Aap Quraish ke Banu Umayya khaandan se ta’alluq rakhte hain.
Jo Makka ke bahut ameer aur izzatdaar khandano me se hain.
*********
Aap ne 611 A.D. me Shaam (Syria) se tijaarat ke safar se waapas aane par Hazrate Abu Bakr Siddeeq radi-Allahu ta’ala anhu ki daawat se Islaam apnaya.
Aap musalman hone wale chothe (4) mard hain.
Aap ke musalman hone par aap ki 2 biwiya : Umme Amr bint Jandab aur Faatima bint al-Walid, aap ko chhodkar chali gai.
*********
5 Nabawi (614–615 A.D.) me aap ne apni biwi Ruqayya bint Huzoor Muhammad sallallahu alaihi wa sallam ke saath Abyssinia (Ethiopia) hijrat ki. Aap ke saath 11 musalman mard aur 11 aurte thi.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ke ‘Hazrate Usman Ghani sab se pehle musalman hain, jis ne deene islaam ki khaatir hijrat ki hai.’
Phir kuchh waqt baad aap Hazrate Ruqayya ke saath Makka waapas aa gaye.
622 A.D. me aap ne apni biwi Hazrate Ruqayya ke saath Madeena hijrat ki aur Aap Abu Talha ibn Saabit ke yaha thehre. Phir kuchh waqt baad aap ne apna khud ka makaan bana liya.
*********
Hazrate Usmaan Ghani ne Jange Badr ke ilaawa har Jang me shirkat ki.
Jange Badr ke mauqe par aap ki biwi Ruqayyah shadeed beemar thi aur aap un ki khidmat ke liye rooke the. Lekin jab Jange Badr me musalmano ki fateh ki khabar mili us se pehle hi Hazrate Ruqayya ka inteqaal ho chuka tha.
**********
Aap Ashra e mubashara me se hain.
Aap ko Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne 2 baar Jannati hone ki bashaarat di.
Aur Huzoor sallallahu alaihi wa sallam kaha karte the ke ‘Jise Jannati insaan ko dekhna ho wo Hazrate Usmaan Ghani ko dekh le.’
*********
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam aksar aap ko apne khat likhne ka kaam dete the.
Aur kai baar ‘Wahy’ (Aayate) bhi likhwate the.
**********
Aap ki Sakhaawat mashhoor hai.
Aap ko ‘Ghani’  aur ‘Sayyed-ul-Askhiya’ kaha jaata hai ya’ni ‘Tamaam sakhiyo ke sardar’.
Aap ko ALLAH ta’ala ne bahut maalo daulat ata farmaya tha. Magar aap hamesha saadgi se rehte the aur sunnate rasool par amal karte the aur ALLAH ki raza ke liye ishqe Rasool ke saath zyada se zyada khairaat karte rehte the.
**********
Jab Muhaajirin Makka mukarrama se hijrat karke Madeena munawwara me aaye to yaha ka paani pasand na aaya jo khaari tha.
Madeena Munawwara me ek shakhs ki milkiyat me chashma tha, jis ka naam ‘Beer e Ruma’ tha. Wo shakhs apne chashme ka paani bechta Tha.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne us se farmaya ‘Tum ye chashma mujhe Jannat ke chashme ke Badle bech do aur Jannat ka chashma mujh se le lo.’
Us ne arz kiya ‘Mere aur mere baal bacho ki rozi isi se hai. Mujh Me taaqat nahi.’
Ye khabar Hazrat Usmaan Ghani radi-Allahu ta’ala anhu ko pahunchi to aap ne 35000 dirham dekar us shakhs se wo chashma khareed liya.
Phir aap ne Huzoor Sarware kaunain sallallahu alaihi wa sallam ki baargah me haazir hokar arz kiya ‘Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam , Jis tarah aap us shakhs ko jannat ka chashma ata farma rahe the agar main ye chashma us se khareed lu to kya Huzoor wo Jannat ka chashma mujhe ata farma denge?’
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne Farmaya ‘Beshak wo main tumhe de dunga.’
Hazrat Usmaan Ghani radi0-Allahu ta’ala anhu khush hote hue arz kiya ‘Ya RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam, Wo Chashma maine khareed liya hai aur ab use main musalmano ko waqf karta hu.’
Wo kuan ‘Beer e Usmaan’ ke naam se mashhoor hai. Madeena shareef jaane wale khusnaseeb us kuen ki ziyarat ke liye jaate hain.
**********
Gazwa e Tabuk ke dauran aap ne ek tihaai  musalman lashkar (taqreeban 1000 aadami) ka kharch apne zimme liya aur saath me baaqi lashkar ko madad karne ke liye 1000 dinar aur 1000 oont aut 15 ghode bhi diye.
**********
Madeena me musalmano ki ta’adad badhne lagi aur Masjide Nabawi me jagah kam padne lagi tab aap ne apne maal se aur zameen kharidkar di.
**********
Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne ek shakhs ko Hazrat Usmaan radi-Allahu ta’ala anhu ke paas bheja. Jab wo aap ke makaan ke qareeb pahuncha to usne suna ke aap apne khaadim se keh rahe hain ke ‘Tune chirag ko zara zyada tez rakha hai. Agar tum tel bachate to wo kal ke liye kaam aata.’ Ye sunkar wo shakhs waapas chala gaya.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne use phir se bheja. Dusre din jab wo pahuncha to suna aap apne khaadim se keh rahe hain ke ‘Tune khane me namak zara zyada daal diya hai. Agar tum namak kam daalte to wo kal ke liye kaam aata.’  Ye sunkar wo waapas chala gaya.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne use phir se bheja aur kaha ke ‘Hazrat Usman ko mera naam dena.’ Us ne aisa hi kiya. To aap ne kaha ke ‘Tum andar wale kamre me chale jaao aur jo chaho le lo.’ Wo andar gaya aur zaroorat ke mutabik maal lekar bahar aaya.
Phir usne puchha ke ‘2 din se aap apne khaadim ko aisi chhoti baato ke liye daantate the aur aaj mujhe itna saara maal de rahe hain. Ye baat meri samajh me nahi aai.’
Aap ne kaha ke ‘Fuzulkharchi gunah hai. Aur main Pyare Aaqa sallallahu alaihi wa sallam ki sunnat par amal karta hu. Aur ye sab maal mujhe ALLAH ne Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me diya hai. Is liye use Aaqa sallallahu alaihi wa sallam ki raza ke liye kharch karne me mujhe khushi hoti hai. Agar tum pehle hi bata dete to tumhe 3 din tak aana na padta.’
*********
Ek martaba aap ne Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ko aap ke ashaba ke saath apne yaha daawat ke liye arz kiya. Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne daawat qubool farmai.
Waqt par Huzoor sallallahu alaihi wa sallam apne asahaba ke saath Hazrat Usmaan Ghani ke ghar tashreef le chale. Hazrat Usmaan Ghani Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke pichhe pichhe chalne lage aur aap ke qadame mubarak ginne lage. Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne puchha ‘Aye Usmaan, Kya kar rahe ho?’ Hazrat Usmaan ne arz kiya ‘Ya RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam, Mere maa-baap aap par qurbaan ho. Main chahta hu ki aap sallallahu alaihi wa sallam  ke har qadam ke badle me aap ki azamt par ek ek gulam aazaad karu.’
Chunanche, Hazrat Usmaan ke ghar tak Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke jitne qadam pade utne gulam Hazrat Usmaan ne aazaad kiye.
*********
Sulaih Hudaibiyah ke mauqe par Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne musalmano ki taraf se Hazrate Usman Ghani ko Makka bheja. Kaafiro se guftagu me kuchh zyada der hone par musalmano ko andesha hua ke kahin kaafiro ne Hazrate Usman Ghani ko shaheed na kar diya ho.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne waha maujood sab ashaba ko bai’at ke liye kaha. Sab ashaba ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke haath par apne haath rakhkar ye ahad kiya ke ‘Agar Hazrate Usmaan Ghani ko shaheed kar diya hoga to ham kaafiro ke saath puri taqat se jang karenge.’
Jise ‘Bai’at al-Ridwan’ kehte hain.
Aur Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne sab ke saath apna baanya haath rakha aur farmaya ke ‘Ye mera haath Hazrate Usmaan ki taraf se hai.’
*********
Aap 5 Muharram 24 Hijri (11 November 644 A.D.) ko Hazrat Umar Farooq radi-Allahu ta’ala anhu ke baad teesre Khalifa hue.
Aap ke zamaane me Islaami saltanat Asia aur Africa me Faars (Iran) aur Khurasan (Afghanistan) tak aur Tunisia aur Morocco tak faili.
Aap ke zamaane me Qur’an majeed ko jama karke Kitaab banane ka kaam mukammal hua, jo Hazrate Abu Bakr Siddeeq radi-Allahu ta’ala anhu ke zamaane me Hazrate Umar Farooq radi-Allahu ta’ala anhu ke mashware par shuru kiya gaya tha.
*********
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmate hain :
(1) Ta’ajub hai us par jo Jannat par eimaan rakhta hai aur phir dunya ke saath aisho aaram se waabasta rehta hai.
Ta’ajub hai us par jo Dozakh (ke azazb) ke baare me jaanta hai phir me gunah se door nahi hota.
Ta’ajub hai us par jo shaitaan ko dushman jaanta hai aur phir us ki ita’at karta hai.
(2) Gunah kisi na kisi surat me dil ko pareshan rakhta hai.
(3) Zabaan ki lagzish paanv ki lagzish se zyada khatarnaak hai.
(4) Khaamoshi gusse ka behtareen ilaaj hai.
(5) Haqeer se haqeer paisha ikhtiyar karke mehnat karna haath failane se zyada behtar hai.
(6) Kisi ki aankh tumhari wajah se nam na ho,
Kyun ki tumhe us ke har aansoo ka qarz chukana hoga.
(7) Hamesha sach bolo taake qasam khaane ki zaroorat na pade.
*********
Aap ki 6 biwiya aur 3 saahabzade aur 4 saahabzadiya hain.
(1) Ruqayya bint Huzoor Muhammad sallallahu alaihi wa sallam se
1 beta : Abdullah
(2) Umme Kulsoom bint Huzoor Muhammad sallallahu alaihi wa sallam.
(3) Fahida bint Ghazwan se
1 beta : Abdullah al-asghar
(4) Ummul Baneen bint Einiyah se
1 beta : Abdul Malik
(5) Ramla bint Shaibah se
3 betiya : Aaisha, Umme Aban, Umme Amr
(6) Nailah bint Fraizah se
1 beti : Maryam.
Aap ke teeno bete kam umr me wafaat paaye.
Is ke ilaawa aap ka ek aur beta ‘Aban’ musalman hua, (Jo Umm Amr bint Jandab se hai).
*********
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam  ki 2 saahabzaadiya ek ke baad ek Aap ke nikah me aai. Is liye aap ko ‘Zun-Noorain’ kaha jaata hai.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam  kehte the ‘Agar meri aur koi beti hoti to main wo bhi Hazrate Usmaan Ghani ke nikah me deta.’
*********
35 Hijri me Kufa, Basra aur Misr (Egypt) se 3000 baagi Madeena ke ird gird ke ilaake me jama hue. Phir unho ne hamla karke Hazrate Usmaan Ghani radi-Allahu ta’ala anhu ke makaan par ghera daala. Aap ne apne saathiyo ko musalmano ke khilaaf jang karne se mana farmaya. Baaghiyo ne aap ke ghar me khaane peene ki cheeze pahunchane par rok laga di.
Hasan ibn Ali, Husain ibn Ali , Abdullah ibn Zubair aur Marwan ne aap ki hifazat ke liye aap ke ghar par pehra diya.
Jab Raafziyo ne dekha ke darwaze se andar jaana mumkin nahi to ghar ki chhat par chadh gaye aur use todkar andar pahunche.
Unho ne tilaawate Qur’an kar rahe Hazrate Usmaan Ghani ke sar par zordar waar kiya aur aap ko jahkmi kar diya.
Jab aap par waar kiya gaya to aap ne farmaya ‘Bismillahi tawakkaltu alAllah.’ Aur aap ki dadhi mubarak se behta hua khoon Qur’an majeed par girne laga.
Maana jaata hai ke Aap ko jakhmi karke shaheed karne wale ka naam ‘Hemaar’ tha.
Shahaadat se kuchh waqt pehle aap ne apne ashaab se farmaya ke ‘Mujhe khwaab me Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki Aye Usmaan, aaj iftaar hamare saath karna. Is liye aaj maine roza rakha hai.’
Aap ki ahlya mohtarama farmati hain ke ‘Aap ko neend aai aur bedaar hote hi aap ne farmaya ye muhasara kiye hue log mujhe shaheed kar denge.’ Maine kaha ‘Aye Ameerul mo’mineen, Hargeez nahi.’ Aap ne farmaya ‘Huzoor Sarkare do aalam Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne khwaab me aakar farmaya Tum is Jum’aa ko hamare paas haazir hone wale ho.’
*********
Aap wisaal 18 Zil Hijja 35 Hijri (656 A.D.) ko 77 baras ki umr me hua.
Aap ki namaaze janaza Jaabir bin Muta’am ne padhai.
Aap ka mazaar Jannatul Baqi (Madeena) me hai.
*********
ALLAH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Usmaan Ghani radi-Allahu ta’ala anhu aur Ashaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae.
Aameen.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye

ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

PLEASE SHARE

0 comments:

Post a Comment

x
Subscribe
emailSubscribe to our mailing list to get the updates to your email inbox...
Delivered by FeedBurner | powered by blogtipsntricks

Subscribe By Email

Find Us On Facebook

Popular Posts

Ads