background img

The New Stuff

Khoon-E-Mubarak


Huzoor {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} Ne Ek Martaba Pachniyan Lagwayi !
-Jo Khoon-E-Mubarak Nikla
Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ne Ek Sahaba Se Farmaya Ki Ise Gira Aao !
-
Wo Sahabi
Khoon-E-Mubarak Ko Lekar Ek Deewar Ke Pichhe Gaye Aur Dayen-Bayen Dekhkar Us Khoon Mubarak Ko Pee Gaye !
-
Jab Waapas Aaye Huzoor
SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ne Farmaya Us Khoon
Ka Kya Kar Aaye ?
-
Arz Kiya,
Use
Deewar Ke Pichhe Gaayab Kar Aaya Hoon !
Farmaya
Lekin Kis Jagah ?
-
Unhone Arz kiya,
Ya Rasoolallah ! (SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM)
Mujhe Aapka Khoon
Mubarak Zamin Par Girana
Ya Zamin May Dabaana Acchha Maalum Nahi Hua !
Main Nahi Chahta Ki
Huzoor-E-Akdas Ke Khoon-E-Mubarak Par Kisi Ka Pau Pade !
-
Isliye
Maine To Use Pee Liya Hain !
Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ne Farmaya
Jaa
Tune Apne Aapko Dozakh Se Bacha Liya !
kyunki jis Khoon me
mera Khoon shamil hojae
usko
jahannam ki Aag na jala sakegi
[Al-Anwaarul Mohammadiya Page-140]

Note :
Sahaba-E-Kiraam Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Azmain Ke Dilon May
Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ka Be-Had Adab Aur Ehteraam Tha !
Isi Adab Aur Ehteraam Ke Peshe-Nazar Wo Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ka Khoon Pee Gaye !
Halaaki Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ne Pee Jaane Ka Irshad Nahi Farmaya Tha !


Maalum Hua Ki Jo Kaam Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ke Adab Aur Ehteraam Ke Peshe-Nazar Kiya Jaaye Wo Agarche Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ne Na Bhi Farmaya Ho To Wo Bhi Acchha Aur Dozak Se Bachane Waala Hota Hain !
-
Yeh Bhi Malum Huaa Ki Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ki Jaat-E-Ba-Barka t
Be-Misaal Aur Be-Nazir Hain !
-
Ek Hamara Khoon Hain Ki Kapde Ya
Kisi Jism Ko Lag Jaaye To Kapda Aur
Jism Na-Paak Ho jata Hain !
Ek Wo Khoon Mubarak Bhi Hain Ki Jis Jism Se Lag Gaya Wo Jahannam Se
Aazaad Hogaya
Allah Ta’ala hamen
Nabi-e-Paak ka adab aur unki
ta’azeem karne ki toufiq ataa farmaye Aameen

Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

0 comments:

Post a Comment

x
Subscribe
emailSubscribe to our mailing list to get the updates to your email inbox...
Delivered by FeedBurner | powered by blogtipsntricks

Subscribe By Email

Find Us On Facebook

Popular Posts

Ads