background img

The New Stuff

Qayamat Ka Din

——————– { Qayamat k Din
kya Hoga? }————————
——{ Aasman, Suraj, Chaand, Sitare,
Zameen, Pahad, Samandar }——
–{ Aasman }—
• Pus jab Aasman phat kar surkh chamde
ki tarah ho jayega.
{Surah:Al-Rahman,Aa yat:37}
• Aur Aasman phat jayega aur us ki
bandish dhili pad jayegi.
{Surah:Al-Haqqah, aayat:16}
• Us din aasman misl tail ki tilchat k ho
jayega.
{Surah:Al-Ma’arij, aayat:8}
• Us din Aasman thar tharane lagega.
{Surah:Toor, aayat:9}
–{ Suraj, Chaand, Sitare }–
• Suraj be noor ho jayega.
• (Qayamat k roz) suraj lapait diya
jayega.
{Surah:Al-Takwirr, Aayat:1}
• Aur chaand be noor hojayega.
{Surah:Al-Qiyamah , aayat no:8}
• Suraj aur chaand ikhatte kardiye
jayenge.
{surah:Al-Qiyamah, aayat:9}
• Pus jab sitare be noor kardiye jayenge.
{Surah:Al-Mursalat , aayat:8}
• Aur jab sitare be noor ho jayenge.
{Surah:Takwir, aayat:2}
• Aur jab sitare bikhar jayenge.
{Surah:Al-Infitar, aayat:2}
–{ Zameen }—
• Jab zameen zalzale k sath hila di jayegi.
{Surah:Al-Waqiah, aayat:4}
• Zameen Allah tala k dar se kanpne lage
gi.
• Us roz zameen aur pahad kanpne
lagenge aur pahad rait k zarre ban kar
bikhar jayenge.
{Surah: Al-Muzzammil, aayat:14}
• Jab
zameen buri tarah hila dali jayegi aur
woapne sare bojh (murde aur digar
ashya) bahar nikal phenke gi.
(Surah:Al-Zalzalah, aayat:1-2)
• Jab soor phunka jayega to zameen aur
pahado ko aik hi chot se reza reza
kardiya jayega.
{Surah: Al-Haqqah, aayat:13-14}
• Aur jab zameen (kheench) kar phailadi
jayegi.
{Surah: Al-Inshiqaq, aayat:3}
• Allah Tala zameen ko bilkul hamwaar
saaf maidan kar k chhodega jis me tu na
kahi mod tod daikhe ga na oonch neech.
{Surah:Taha, aayat:106-107}
• Us zameen k oopher jo kuch (nabatat)
hai use ham saaf kar k hamwar maidan
banadenge.
{Surah:Al-Kahf, aayat:8}
–{ Pahad, Samandar }–
• Aur aap pahadon ko daikh kar apni
jagah jame huwe khayal karte hai lekin
wo bhi badalki tarah udhte phirenge ye
hai san’at Allah kijis ne har cheez ko
mazboot banaya hai jo kuchtum karte ho
us se wo ba khabar hai.
{Surah:Naml, aayat:88}
• Aur pahad chalaye jayenge yahan tak k
wo rait k zarrat ban jayenge.
{Surah:Al-Naba, aayat:20}
• Log tum se pahadon ki nisbat sawal
karte hain? To aap keh de k inhen mera
Rab reza reza kar k uda dega.
{Surah:Taha, aayat:105}
• Aur pahad bilkul reza reza kardiye
jayenge phir wo misl bikhra huwa
gubaar ban kar rah jayenge.
{Surah:Al-waqiah, aayat:5-6}
• Aur pahad dhune huwe rangeen uoon
ki tarah ho jayenge.
{Surah:Al-Qariah, aayat:4}
• Aur jab samandar bhad ka diye jayenge.
{Surah:Al-Takwir, aayat:6}
• Aur jab samandar beh niklenge.
{Surah:Al-Infitar , aayat:3}
speech>>> QAYAMAT-KA-DIN.mp3
Allah Ta’ala in hamen
Qayamat ke din ki sakhtiyon se
Mahfooz farmaye
aur Achchhe Amal karne
ki bhi toufiq ataa farmaye Aameen
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣



Source..

3 comments: Leave Your Comments

x
Subscribe
emailSubscribe to our mailing list to get the updates to your email inbox...
Delivered by FeedBurner | powered by blogtipsntricks

Subscribe By Email

Find Us On Facebook

Popular Posts

Ads