background img

The New Stuff

Taveez & Dua Ka Bayan


*DUA AUR TAVEEZ KA BAYAN*

HADEES*
Hazrat AYESHA
(Radhiyallahu ta’ala anhA)
Ne kaha
K
Rasool Allah (sallallahu ta’ala alaihi wasallam)
ne
hukm farmaya ke
Nazar bad ke
liye
Dua Taveez karaye
[MUSLIM,
BUKHARI vol-2 page-854
MISHKAT page-388]
HADEES*
Hazrat UMME SALMA
(Radhiyallahu ta’ala anhA)
Se
Riwayat hai ki
Rasool Allah (sallallahu ta’ala alaihi wasallam)
ne
unke ghar me ek londi
ko
dekha jiska chehra zard tha
HUZOOR ne farmaya
isey
taveez karao isey
NAZRE bad lagi
hai
[MUSLIM,
BUKHARI vol-2 page-854
MISHKAT page-388]
HADEES*
Hazrat AOUF BIN MALIK ASHJAEE
(Radhiyallahu ta’ala anhU)
Ne
farmaya k hum log zamana-e-jahLiy at
me
jhaad fhoonk karte the
ISLAM lane k
baad
hum ne arz kia
YA RASOOL ALLAH
in mantaron
ke bare me aap kya farmate
hai
Rasool Allah (sallallahu ta’ala alaihi wasallam)
ne
farmaya apne mantar mujhe
sunao un mantaron me
koi
harj nahi jabtak ke unme
SHIRK na ho
[MUSLIM,vol-2 page-224
MISHKAT page-388]
HAZRAT SHEIKH ABDUL HAQ
Muhaddis Dahelvi
Rehmatullah Aleh
Is
hadees ke tahet farmate
hai
“yani mantar me jinn va shayateen
Ke
Naam na hon aur us mantar
Ke ma’ani se kufr
Lazim na aata ho
To
Uske padhne me koi harz
Nahi
Aur isi lie ulma-e-sulf
Ne
Farmaya he jis mantar ka ma’ana
Malum na ho usey nahi padh sakte
Lekin
Jo
Huzoor Alaihissalam se sahih tour par
Manqool
Ho
Usey padh sakte hain,
Agar chey uska ma’yne
Maloom na ho
[Ash’atul lam’aat vol-3 page-604]
.
Masla:
Taveez ko pahenkar
bait-ul-khala(toilet)
main ja sakte hai kya ??
Agar Qurani Ayat ka taveez hai
to behtar hai k usko utar kar jaya jae
Aur Agar adad vagerah
ka hai
to pahenkar ja sakte hai
Agar mom jama karke
taviz
pehna jae to behtar hai
.
Allah hamen islami
Masail ko sikhne aur samajhne
Ki toufiq ataa farmaye
*Aameen*
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN


●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

0 comments:

Post a Comment

x
Subscribe
emailSubscribe to our mailing list to get the updates to your email inbox...
Delivered by FeedBurner | powered by blogtipsntricks

Subscribe By Email

Find Us On Facebook

Popular Posts

Ads