Guzar gayi Namaz-e 'Fajar',
aur tu sota raha,
Qeemti waqt ko khwabon
mein khota raha.
.
Subha namodaar huyi par
tu bedaar na hua,
Umar bhar so kar bhi tu
bezaar na hua.
.
Aayi 'Zohar' to tujhe kaam
ne uljha diya,
Be Namazi bana kar kitna
tujhe phansa diya.
.
Milega Rizq tujhe Namaz ke
baad bhi,
Palega tera ghar Namaz ke
baad bhi.
.
Dekh aa gayi Namaz-e 'Asar'
tawaani le kar,
Quwwat hai is me tu isey
ada kar.
.
Tandrust hai aaj tu, ye
Shukar ada kar,
Badan ko apne Sajdon ki
Lazzat diya kar.
.
Chal diya Aftaab ab Ghuroob
hone ko,
Namaz-e Maghrib hai ab
shuru hone ko.
.
Khatam ho gaya teri
Zindagi ka Ek aur din,
Chala gaya tera ye bhi din
Nekiyon bin.
.
Ab tujhe chaahiye Raahat
sone se pehle,
'Isha' padh le apni Zindagi
khone se pehle.
.
Paayega Sukoon tu ALLAH
ke zikar mein hi,
Milega Qaraar tere dil ko isi
fikar mein hi..!"
.
"NAMAZ KAYAM KARO DOSTO"
Is se pehle ki hamari namaz padhi jaye.
0 comments:
Post a Comment